Tuesday, 17 May 2016

Zarurat Kya Thi ..??

Faasla Itna Badhaane Ki Zarurat Kya Thi ?
Tujhe Mujhse Rooth Kar Jaane Ki Zarurat Kya Thi ?

Ab Kyu Mujhse Bichad K Udaasi Hai Tere Chahre Pe ?
Apna Haath Mere Haatho Se Chudaane Ki Zarurat Kya Thi ?

Duniya Kab Kisi Ke Gamm Ko Apna Samajhti Hain,,
Tujhe Apna Gam Duniya Ko Dikhane Ki Zarurat Kya Thi ?

Ek Baat Teri Mai Aaj Tak Samajh Na Paaya,,
Jab Saath Tere "MAIN" Tha To Tujhe Zamaane Ki Zarurat Kya Thi ??